Thursday, 13 November 2014

BUS ISS SAWAL PE MEHIL MEIN KHAMSHI KYUN HAI

BUS ISS SAWAL PE MEHIL MEIN KHAMSHI KYUN HAI
HAWA KO JALTE CHARAGO SE DUSHMANI KYUN HAI

             YE MANA MERI TABAHI KA HAI TUJHE AFSOS

              MAGAR LABO PE TERE AAJ AKL HASI KYUN HAI

MUJHE NAWAZA HAI SAB NE DUA KI DAULAT SE

TO MERE GHAR PAR HI MEHMAAN MUFLISI KYUN HAI

              GUZAR RAHI HAI BAHUT ZINDAGI SUKU'N SE MERI

               YE DEKH KAR MERE BHAI KO BEKALI KYUN HAI

SHABE VISAL NE BAKSHA HAI YE NIKHAR TUMHE

TUMAHRE CHEHRE PE IS DARZA TAAZGI KYUN HAI

Wednesday, 15 October 2014

kaise sanche mein dhal gaye ho tum.................. .

kaise sanche mein dhal gaye ho tum..................
.
haaye kitna badal gaye ho tum.................................................

dard yaado'n ka chor kar dil mein.............................

kis safar par nikal gaye ho tum...........

SHAHBAAZ ANWAR SHARANPURI

देख शाहबाज कहीं पढ ना जाये तू अकेला एक दिन............................. अब तो अपने दोस्तों को आज़माना छोड दे

देख शाहबाज कहीं पढ ना जाये तू अकेला एक दिन.......................
                       अब तो अपने दोस्तों को आज़माना छोड दे.................................
 



kaise sanche mein dhal gaye ho tum.................. .

kaise sanche mein dhal gaye ho tum..................
.
haaye kitna badal gaye ho tum.................................................

dard yaado'n ka chor kar dil mein.............................

kis paar nikal gaye ho tum .............................

Friday, 26 September 2014

TUMHARE SATH BHI KUCH DOOR CHALE KE DEKHENGE

MOHABBATO KE SAFAR MEIN NIKAL KE DEKHENGE
TUMHARE SATH BHI KUCH DOOR CHALE KE DEKHENGE


                                      HUME TUMAHARI MOHABBATO KA NOOR HASIL HO
                                   KABHI ANDERO KI HADD SE NIKAL KE DEKHENGE


BAHUT ZAMANE KI KHAYAI HAIN THOKRE HUMNE
KHAYAL AA HI GAYA TO SAMBHAL KE DEKHNEGE


                                    HUM AADHI ZINDAGI APNE HUNAR SE JEE AYE
                           AB AUR TERE SAHARE PE CHAL KE DEKHENGE


SAMET LETE HAIN LAFZO MEIN APNE MAAZI KO
FIR USKE BAAD MEIN TEWAR GHAZAL KE DEKHENGE


                                               KISI NASHE NE GIRNE KI KYA AZIYET HAI
                                          KABHI DALHAN SE SE HUM BHI FISAL KE DEKHENGE


AB AASTENO MEIN KHANZAR CHIPE HAIN KIS KIS KE
YE APNE YAARON ME SHAHBAAZ CHAL KE DEKHENGE

YE TERE ZULMO SITAM YE AKLAKH GHALAT

YE TERE ZULMO SITAM YE AKLAKH GHALAT

DIL KO MAA-BAAP KE BETAAB BHI KAR SAKTA HAI

UNKI AANKHO'N MEIN JO AYA TERE LEHJE SE KAHI

WAHI EK ANSU TUJHE GHARQAAB BHI KAR SAKTA HAI
 

Wednesday, 14 May 2014

MAIN GHIR GAYA THA ZULMO SIATAM KI HAWAO'N SE

MAIN GHIR GAYA THA ZULMO SIATAM KI HAWAO'N SE
TOOFA'N KO MAINE BANDH LIYA THA AONE PAON SE
MANA KE MUJSE SARA ZAMANA KHILAF THA
FIR BHI YE JANG JEET LI HAI MAA KI DUA SE

NA KOI SHOR HAI NA SAR DIKHAYI DETA HAI

NA KOI SHOR HAI NA SAR DIKHAYI DETA HAI
KE SEHMA SEHMA SA MANZAR DIKHAYI DETA HAI
MERI NIGHA JAHAN BHI GAYI JIDHER BHI AGYI
BUS AAG KA HI SAMANDER DIKHAYI DETA HAI

MIL GAYI NA AHL KO SHAHBAAZ SACHI CHAHATEIN......................... AUR HUM RASME ULFAT NIBHATE HI NIBHATE MAR AGYE

MIL GAYI NA AHL KO SHAHBAAZ SACHI CHAHATEIN
AUR HUM RASME ULFAT NIBHATE HI NIBHATE MAR AGYE



SHAHBAAZ SAHARANPURI